
Deepa uma ko ghar lekar jati hai. Ghar jaate hi uma ke maa ki nazar uma ke pairo par jati hai. Uma ki maa, uma se puchati hai ki
" ye kya hogayaa uma tumhare paon ko? " woh maa renuka ki maa ne ghar laane ke liye mujhe kheer deyi thi, to samne se renuka ka bhai Aaa rahe the to unka dhaka mujhe lag gaya Aur kheer ki katori mere paon par gir gayi. Uma ki maa uma se puchati hai ki " Amit bhaiya ka dhaka laga kya? "(Amit renuka ka bada bhai hai) " nahi maa woh renuka ka koi rishtedaar tha". "Uma paon mein jyada jalan to nahi ho rahi na?". Nahi maa jyada nahi. Beta hum kal doctor ke paas chale jayenge. Aoa idhar baitho mein tumhari malumpati kar deti hui. Uma ki maa uma ki malam pati kar rahi thi tabhi renuka ki maa aati hai
"Bhabhi!!,kar aavaj lagati hai,
"Haan renuka ki maa ander aayi na, ye lijiye kheer, Arrey! Iski kya jarurt thi renuka ki maa. Renuka ki maa, uma ke maa se maafi mangte hui kehti hai ki," woh mere bade bhaiyaa ka beta aaya hai to usse galti se dhaka lag gya, aur kheer ki katori uma ke paon par gir gayi, usse galti hogayi maaf kar dijyega.
Haan!, " Renuka ki maa, uma ne mujhe sab kuch batayaa aur maafi mangne ki koyi jarurt nahi hai, aur bachon se galti hoti rehti hai us par kya gussa hona renuka ki maa!"
Renuka ki maa uma ka haalchal puchh kar ghar wapas aati hai.kuch hi der baad renuka ke sablog khana khane ke liye baith jaate hai, ussi waqt suyash apani buaa se puchata hai ki "abhi uss ladki ka paon kaisa hai buaa? " abhi thik hai uska paon. renuka ke papa puchate hai,kis ladki ka?, ji apani uma hai na uska. kyu? Usse kya huaa. ji uska paon jal gaya.
Khana khane ke baad sablog ek dusre se baatchit kar rahe the, par suyash jayada kuch bol nahi raha tha, sirf haan se haan mila raha tha. Renuka ke papa usse puchate hai ki" kya hua suyash chup kyu baitho ho? Baat karo".nahi uncle bass aisi hi. Thodi der baad sablog sojate hai par suyash uma ke khayalo mein tha. Usse quilty feel ho raha tha ki uske waje se uss bichari ladki ka paon jal gaya. Iss khayal se suyash so nahi paa raha tha.
Dusri din suyash subha jaldi uthkar bahar jaata hai,aur kuch flower aur cookies lekar ghar aata hai. Suyash fresh hone chala jaata hai.
Amit tv dekh raha hota hai.suyash, amit ko puchata hai ki "mein uma ko ye cookies aur flowers dene uske ghar jaau kya?".
"Suyash tumhara dimag kharaab hogaya kya? Ye tumhari high class society nahi hai!". Tum usse aisi hi flower aur cookies dene chale jaoge, par uske gharwale koi aur matla nikalenge. Khali fukat jagada ho jayega.
"Uss mein itna bawaal karne jarurat hai". Are mere bhai, uske gharwalo ko pasand nahi aayega. Tum sirf usse aise hi milne jao. Achha thik hai !!!. Mein aisse hi chala jaata hoon.
" tum bhi mere sath chalo otherwise, mujhe thoda awkward Feel hoga ". Dono bhi uma ke ghar chale jaate hai.uma ke ghar mein uske bhen aur bhai bhi the. Suyash uma se wapas maafi mangte hui kehta hai ki, " uma tumhara poan abhi kaisa hai, tum doctor ke pass gayi thi kya? ". Haan mein gayi thi. "Abhi tumhe accha lag raha haina, mere wajh se tumhe takleef ho rahi hai, sorry uma mujhe dhyaan dena chiye tha .
"Aree !! Aap abhi tak uss baat ko lekar baithe hai, koi baat nahi aisi baatein hoti rehti hai". Aise uma ka bhai suyash se kehta hai. Aur uma bhi usse kehti hai " Aap bura mat maniye Aur haan, meine aapko maaf kardiya hai ". Uma ki ye baat sunkar suyash ko accha laga. " Tho thike hum chalte hai abhi". Areyy!! rukai nasta karkar to jaiye. Nahi!! aunty hum nasta karkar to aaiye hai.
Uma ka haalchal puchkar dono ghar aate hai. Shyam ko suyash apne ghar jaane ke liye niklata hai. Bua usse ek din rehne ke liye kehta hai, par suyash kehta hai" nahi bua!! mujhe jana padega college jana haina". Suyash ghar ke liye niklata hai. Suyash ghar pouchta hai.suyash ki ama kehti hai, hum tumhara hi wait kar rahe the. Tum fresh hojao mein khana lagati hui. Khana khane ke baad suyash ke apaa bua ke ghar ka haal chaal puchane lag jaate hain." Sab log thik hai na waah? ".
Haan appa!!.sab waah thik hai, aur bua bhi thik hai.suyash baatein karne ke baad sone chala jaata hai. Woh apne study table par baith kar uma ke baare mein soch raha tha ki " uma kitni aachi ladki hai ". Aur waaha uma bhi suyash ke baare mein soch rahi thi ki " suyash kitna accha hai duse issan ki kitni fikar hai usse.

Write a comment ...